KHwab phir aankh mein saja koi
ḳhvāb phir aañkh meñ sajā koī
zindagī meñ mile maza koī
baa'd 'arse ke aa.ina dekhā
shaḳhs is meñ dikhā nayā koī
aadmī jab gunāh kartā hai
yaad aatā nahīñ ḳhudā koī
chāñd paane kī zid kiyā kartā
mujh meñ rahtā hai bāvrā koī
mulk meñ sansanī sī phaile yuuñ
mudda'ā roz ek uThā koī
baat karte to baat ban jaatī
de gayā mujh ko mashvara koī
KHwab phir aankh mein saja koi
zindagi mein mile maza koi
ba'd 'arse ke aaina dekha
shaKHs is mein dikha naya koi
aadmi jab gunah karta hai
yaad aata nahin KHuda koi
chand pane ki zid kiya karta
mujh mein rahta hai bawra koi
mulk mein sansani si phaile yun
mudda'a roz ek uTha koi
baat karte to baat ban jati
de gaya mujh ko mashwara koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.