KHwab rakhe hain tariki par dard rakha hai raaton par
ḳhvāb rakhe haiñ tārīkī par dard rakhā hai rātoñ par
aag lagā.ī hai ashkoñ ne tohmat hai angāroñ par
sūraj chāhe aa.e na aa.e haal pūchhne bastī kā
sab ne ummīdeñ rakh dī haiñ ab be-nūr charāġhoñ par
din to din hai rāteñ bhī ab sargoshī sī kartī haiñ
haath rakhā thā bhūle se ik baar kisī ne palkoñ par
mumkin nahīñ ki saañs le dhartī aur havā na ho bedār
lamhoñ ke sab naqsh rakhe jaate haiñ phailī sadiyoñ par
is din se logoñ ne ham se milnā-julnā tark kiyā
apnī gahrā.ī rakh dī hai jab se ham ne sat.hoñ par
bhūlī-bisrī yādoñ ne jis din se shabnam Tapkā.ī
koī titlī nahīñ baiThtī aakar in gul-dānoñ par
is ko bhūle us se bichhḌe ek zamāna biit gayā
koī bhārī bojh rakhā hai ab bhī merī sāñsoñ par
ik āñdhī ne reza reza kar ke mujh ko chhoḌ diyā
magar salāmat sā lagtā huuñ ab bhī apne zarroñ par
apnā sab kuchh chhoḌ ke aa.e kahāñ bayābāñ meñ 'parvāz'
bure vaqt meñ kaun taras khātā hai ġham ke māroñ par
KHwab rakhe hain tariki par dard rakha hai raaton par
aag lagai hai ashkon ne tohmat hai angaron par
suraj chahe aae na aae haal puchhne basti ka
sab ne ummiden rakh di hain ab be-nur charaghon par
din to din hai raaten bhi ab sargoshi si karti hain
hath rakha tha bhule se ek bar kisi ne palkon par
mumkin nahin ki sans le dharti aur hawa na ho bedar
lamhon ke sab naqsh rakhe jate hain phaili sadiyon par
is din se logon ne hum se milna-julna tark kiya
apni gahrai rakh di hai jab se hum ne sathon par
bhuli-bisri yaadon ne jis din se shabnam Tapkai
koi titli nahin baiThti aakar in gul-danon par
is ko bhule us se bichhDe ek zamana bit gaya
koi bhaari bojh rakha hai ab bhi meri sanson par
ek aandhi ne reza reza kar ke mujh ko chhoD diya
magar salamat sa lagta hun ab bhi apne zarron par
apna sab kuchh chhoD ke aae kahan bayaban mein 'parwaz'
bure waqt mein kaun taras khata hai gham ke maron par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.