KHwab se hai kab alag ye zindagani dekhiye
ḳhvāb se hai kab alag ye zindagānī dekhiye
film ke parde pe chaltī hai kahānī dekhiye
āsmāñ sūraj qamar taare zamīn-o-kahkashāñ
ye jahān-e-rang hai is kī nishānī dekhiye
kasb kā hāsil kahāñ ye fazl rab kā jāniye
pahle kab sheroñ meñ thī aisī ravānī dekhiye
haiñ qamar kī manzileñ yā phir zamīñ kī gardisheñ
vaqt kī tārīf kyā dariyā kā paanī dekhiye
kaun hai vo jis talak dast-e-qazā pahuñchā nahīñ
kahkashāñ shams-o-qamar ye sab haiñ faanī dekhiye
nā-murādī kāmrānī zindagī ke baad hai
zindagī ke roz-o-shab haiñ imtihānī dekhiye
KHwab se hai kab alag ye zindagani dekhiye
film ke parde pe chalti hai kahani dekhiye
aasman suraj qamar tare zamin-o-kahkashan
ye jahan-e-rang hai is ki nishani dekhiye
kasb ka hasil kahan ye fazl rab ka jaaniye
pahle kab sheron mein thi aisi rawani dekhiye
hain qamar ki manzilen ya phir zamin ki gardishen
waqt ki tarif kya dariya ka pani dekhiye
kaun hai wo jis talak dast-e-qaza pahuncha nahin
kahkashan shams-o-qamar ye sab hain fani dekhiye
na-muradi kaamrani zindagi ke baad hai
zindagi ke roz-o-shab hain imtihani dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.