KHwab sunne se gae ishq batane se gae
ḳhvāb sunñe se ga.e ishq batāne se ga.e
zindagī ham tirī tauqīr baḌhāne se ga.e
ghar ke āñgan meñ lagā peḌ kaTā hai jab se
ham tirī baat parindoñ ko sunāne se ga.e
juz tujhe dekhne ke aur nahīñ thā koī kaam
ye alag baat kisī aur bahāne se ga.e
jab se vahshat ne na.ī shakl nikālī apnī
ham junūñ-zād kisī dasht meñ jaane se ga.e
vaqt par us ne pahuñchne kā kahlvāyā thā
ham hī tāḳhīr se pahuñche so Thikāne se ga.e
āsmāñ roz mire ḳhvāb meñ aa jaatā hai
ham ḳhayāloñ meñ hasīñ chāñd banāne se ga.e
dil kī tanhā.ī meñ vahshat kī darāḌeñ haiñ 'sa.īd'
ham darāḌoñ meñ tirā hijr basāne se ga.e
KHwab sunne se gae ishq batane se gae
zindagi hum teri tauqir baDhane se gae
ghar ke aangan mein laga peD kaTa hai jab se
hum teri baat parindon ko sunane se gae
juz tujhe dekhne ke aur nahin tha koi kaam
ye alag baat kisi aur bahane se gae
jab se wahshat ne nai shakl nikali apni
hum junun-zad kisi dasht mein jaane se gae
waqt par us ne pahunchne ka kahlwaya tha
hum hi taKHir se pahunche so Thikane se gae
aasman roz mere KHwab mein aa jata hai
hum KHayalon mein hasin chand banane se gae
dil ki tanhai mein wahshat ki daraDen hain 'said'
hum daraDon mein tera hijr basane se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.