KHwab tabir safar mere sahaare kab the
ḳhvāb ta.abīr safar mere sahāre kab the
jo chamakte the vo jugnū the sitāre kab the
ye mohabbat kā asar hai ki tū dikhtā hai mujhe
naqsh kāġhaz pe abhī maiñ ne utāre kab the
mujh se bichhḌe haiñ kaḌe vaqt meñ baarī baarī
merī maañ sach hai mire dost ye saare kab the
apnī marzī ki tujhe chhoḌ diyā hai tujh par
ham vo mūrakh haiñ jo taqdīr se haare kab the
shahr ābād raheñ aur tū ābād rahe
ham to banjāre haiñ ye shahr hamāre kab the
KHwab tabir safar mere sahaare kab the
jo chamakte the wo jugnu the sitare kab the
ye mohabbat ka asar hai ki tu dikhta hai mujhe
naqsh kaghaz pe abhi main ne utare kab the
mujh se bichhDe hain kaDe waqt mein bari bari
meri man sach hai mere dost ye sare kab the
apni marzi ki tujhe chhoD diya hai tujh par
hum wo murakh hain jo taqdir se haare kab the
shahr aabaad rahen aur tu aabaad rahe
hum to banjare hain ye shahr hamare kab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.