KHwab tha ya ki junun KHub tha bekal mujh mein
ḳhvāb thā yā ki junūñ ḳhuub thā bekal mujh meñ
barpā rakhtā thā har ik haal meñ halchal mujh meñ
ye jo āñkhoñ se chhalaktī hai hama-vaqt mire
rakh gayā apnī nishānī koī chhāgal mujh meñ
ye batāte haiñ mujhe hoñToñ ke shikve mere
aaj bhī rahtī hai laḌkī koī pāgal mujh meñ
mujh ko rone hī nahīñ dete irāde mere
kyā karūñ dil jo dhaḌaktā hai ye komal mujh meñ
maiñ to ḳhāmosh huuñ ik umr se lekin haa.e
shor kartā hai bahut dard kā bādal mujh meñ
maiñ liye phirtī huuñ hoñToñ pe gulistān-e-adab
is ke bar-aks hai ābād ye jangal mujh meñ
ranj-o-ġham is liye is dil ke makīñ haiñ 'fahmī'
vird hotā hai kisī hijr kā pal pal mujh meñ
KHwab tha ya ki junun KHub tha bekal mujh mein
barpa rakhta tha har ek haal mein halchal mujh mein
ye jo aankhon se chhalakti hai hama-waqt mere
rakh gaya apni nishani koi chhagal mujh mein
ye batate hain mujhe honTon ke shikwe mere
aaj bhi rahti hai laDki koi pagal mujh mein
mujh ko rone hi nahin dete irade mere
kya karun dil jo dhaDakta hai ye komal mujh mein
main to KHamosh hun ek umr se lekin hae
shor karta hai bahut dard ka baadal mujh mein
main liye phirti hun honTon pe gulistan-e-adab
is ke bar-aks hai aabaad ye jangal mujh mein
ranj-o-gham is liye is dil ke makin hain 'fahmi'
wird hota hai kisi hijr ka pal pal mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.