KHwab the aarzu the jaan the hum
ḳhvāb the aarzū the jaañ the ham
ek duuje pe mehrbāñ the ham
kyoñ haTāyā gayā hai dhoke se
kis ke raste ke darmiyāñ the ham
har udāsī sukūñ se Thahrī thī
dard aur ġham ke mezbāñ the ham
ham zarūrat meñ us kī the shāmil
us ke dil meñ magar kahāñ the ham
ab taraste haiñ she'r ke liye bhī
kabhī ġhazloñ kā kārvāñ the ham
KHwab the aarzu the jaan the hum
ek duje pe mehrban the hum
kyon haTaya gaya hai dhoke se
kis ke raste ke darmiyan the hum
har udasi sukun se Thahri thi
dard aur gham ke mezban the hum
hum zarurat mein us ki the shamil
us ke dil mein magar kahan the hum
ab taraste hain she'r ke liye bhi
kabhi ghazlon ka karwan the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.