KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun
ḳhvāb to ḳhvāb haiñ ta.abīr badal kar dekhūñ
us pahelī ko zarā maiñ bhī to hal kar dekhūñ
apne chehre kī lakīroñ se pareshān nahīñ
zaḳhm taaza hai so ā.īna sambhal kar dekhūñ
rañg aur nuur se hairān haiñ āñkheñ merī
un manāzir ko zarā duur se chal kar dekhūñ
in fazāoñ meñ bikhar jā.ūñ maiñ ḳhushbū kī tarah
is chaman-zār se bāhar bhī nikal kar dekhūñ
ab mirī raa.e se tū itnā bhī hairān na ho
zāviya hai to na kyuuñ is ko badal kar dekhūñ
KHwab to KHwab hain tabir badal kar dekhun
us paheli ko zara main bhi to hal kar dekhun
apne chehre ki lakiron se pareshan nahin
zaKHm taza hai so aaina sambhal kar dekhun
rang aur nur se hairan hain aankhen meri
un manazir ko zara dur se chal kar dekhun
in fazaon mein bikhar jaun main KHushbu ki tarah
is chaman-zar se bahar bhi nikal kar dekhun
ab meri rae se tu itna bhi hairan na ho
zawiya hai to na kyun is ko badal kar dekhun
- Book : Shareek-e-Harf (Pg. 135)
- Author : Khalid Jamal
- Publication : Dabistan-e-adab (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.