KHwab TuTe to meri palkon pe aae sae
ḳhvāb TuuTe to mirī palkoñ pe aa.e saa.e
kis tarah aaj mirī āñkhoñ meñ chhā.e saa.e
us ne jo baat kī vo merī thī yā merī nahīñ
us kī āñkhoñ meñ mire the na parā.e saa.e
mujh ko tanhā.ī kī āġhosh meñ Dar lagtā hai
jaise baiThe hoñ mire paas meñ saa.e saa.e
shaam Dhalte hī jale āñkhoñ meñ jugnū aañsū
aur zulfoñ meñ kahīñ maiñ ne chhupā.e saa.e
us ke hāthoñ meñ dhanak-rang the zāhir aise
jis ne ākāsh ke parde meñ banā.e saa.e
maiñ bhī ik roz badal jā.ūñgī 'tamsīl' magar
merī qismat meñ kabhī koī na laa.e saa.e
KHwab TuTe to meri palkon pe aae sae
kis tarah aaj meri aankhon mein chhae sae
us ne jo baat ki wo meri thi ya meri nahin
us ki aankhon mein mere the na parae sae
mujh ko tanhai ki aaghosh mein Dar lagta hai
jaise baiThe hon mere pas mein sae sae
sham Dhalte hi jale aankhon mein jugnu aansu
aur zulfon mein kahin main ne chhupae sae
us ke hathon mein dhanak-rang the zahir aise
jis ne aakash ke parde mein banae sae
main bhi ek roz badal jaungi 'tamsil' magar
meri qismat mein kabhi koi na lae sae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.