KHwab ummid se sarshaar bhi ho jae to kya
ḳhvāb ummīd se sarshār bhī ho jaa.e to kyā
dasht to dasht hai bāzār bhī ho jaa.e to kyā
ab kahāñ koī sitāroñ ko ginā kartā hai
merā har zaḳhm numūdār bhī ho jaa.e to kyā
so chukī shaam añdhere kā hai saaya dil par
aaj ḳhvāhish koī bedār bhī ho jaa.e to kyā
zindagī apnī na badlī hai na badlegī kabhī
ḳhāk-e-pā zīnat-e-dastār bhī ho jaa.e to kyā
manzileñ baḌhne lagīñ ḳhud hī musāfir kī taraf
rāsta sūrat-e-dīvār bhī ho jaa.e to kyā
KHwab ummid se sarshaar bhi ho jae to kya
dasht to dasht hai bazar bhi ho jae to kya
ab kahan koi sitaron ko gina karta hai
mera har zaKHm numudar bhi ho jae to kya
so chuki sham andhere ka hai saya dil par
aaj KHwahish koi bedar bhi ho jae to kya
zindagi apni na badli hai na badlegi kabhi
KHak-e-pa zinat-e-dastar bhi ho jae to kya
manzilen baDhne lagin KHud hi musafir ki taraf
rasta surat-e-diwar bhi ho jae to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.