KHwab us ka to haqiqat se ziyaada hai bahut
KHwab us ka to haqiqat se ziyaada hai bahut
Mohammad Azhar Shams
MORE BYMohammad Azhar Shams
ḳhvāb us kā to haqīqat se ziyāda hai bahut
merī uljhan bhī mohabbat se ziyāda hai bahut
us kī sāñsoñ se mahak uThte haiñ kitne hī gulāb
lams us kā mujhe daulat se ziyāda hai bahut
surḳh āñkhoñ meñ chhupā rakkhī hai maiñ ne tirī yaad
shauq-e-duniyā mirī himmat se ziyāda hai bahut
mirī ḳhvāhish hai ki maiñ ḳhud se mulāqāt karūñ
aur ye ḳhvāhish mirī hasrat se ziyāda hai bahut
nahīñ miltī tujhe manzil to shikāyat kaisī
ye bhaTaknā tirī ġhaflat se ziyāda hai bahut
KHwab us ka to haqiqat se ziyaada hai bahut
meri uljhan bhi mohabbat se ziyaada hai bahut
us ki sanson se mahak uThte hain kitne hi gulab
lams us ka mujhe daulat se ziyaada hai bahut
surKH aankhon mein chhupa rakkhi hai main ne teri yaad
shauq-e-duniya meri himmat se ziyaada hai bahut
meri KHwahish hai ki main KHud se mulaqat karun
aur ye KHwahish meri hasrat se ziyaada hai bahut
nahin milti tujhe manzil to shikayat kaisi
ye bhaTakna teri ghaflat se ziyaada hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.