KHwab zaKHmon ki tarah mir ki ghazlon jaisa
ḳhvāb zaḳhmoñ kī tarah miir kī ġhazloñ jaisā
mujh ko ik shaḳhs milā hai mirī sochoñ jaisā
jis kī bātoñ meñ ho ambar kī araq-afshānī
jis kā andāz hamesha ho gulāboñ jaisā
yuuñ lagā jaise use jāntī huuñ sadiyoñ se
maiñ ne ik shaḳhs ko paayā mire ḳhvāboñ jaisā
baat kartā thā magar baat badal jaatā thā
us kā lahja thā ka.ī uljhe savāloñ jaisā
sub.h kī kirnoñ ke jaisī hai mohabbat us kī
us kā andāz-e-mohabbat hai ujāloñ jaisā
jaane vaale ko ḳhabar kyā ki bichhaḌ kar us se
lamha sadiyoñ meñ guzartā hai azāboñ jaisā
zindagī apnī jo kahtā thā hamesha mujh ko
ab mirā zikr vo kartā hai havāloñ jaisā
KHwab zaKHmon ki tarah mir ki ghazlon jaisa
mujh ko ek shaKHs mila hai meri sochon jaisa
jis ki baaton mein ho ambar ki araq-afshani
jis ka andaz hamesha ho gulabon jaisa
yun laga jaise use jaanti hun sadiyon se
main ne ek shaKHs ko paya mere KHwabon jaisa
baat karta tha magar baat badal jata tha
us ka lahja tha kai uljhe sawalon jaisa
subh ki kirnon ke jaisi hai mohabbat us ki
us ka andaz-e-mohabbat hai ujalon jaisa
jaane wale ko KHabar kya ki bichhaD kar us se
lamha sadiyon mein guzarta hai azabon jaisa
zindagi apni jo kahta tha hamesha mujh ko
ab mera zikr wo karta hai hawalon jaisa
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.