KHwabon ke aaine ko palkon se saf kar le
ḳhvāboñ ke aa.ine ko palkoñ se saaf kar le
sach aur jhuuT kyā hai ḳhud inkishāf kar le
himmat na ho to mushkil ban jaa.eñ manzileñ bhī
himmat jo ho to insāñ sar koh-e-qāf kar le
rishtoñ kī ahmiyat kā andāza phir lagegā
pahle fasīl-e-dil meñ koī shigāf kar le
pahchān leñgī tujh ko bastī kī saarī āñkheñ
chehre kī jhurriyoñ ko zer-e-ġhilāf kar le
tujh ko 'nazīr' shab kī tārīkiyāñ na Das leñ
ujle badan ko apne zer-e-lihāf kar le
KHwabon ke aaine ko palkon se saf kar le
sach aur jhuT kya hai KHud inkishaf kar le
himmat na ho to mushkil ban jaen manzilen bhi
himmat jo ho to insan sar koh-e-qaf kar le
rishton ki ahmiyat ka andaza phir lagega
pahle fasil-e-dil mein koi shigaf kar le
pahchan lengi tujh ko basti ki sari aankhen
chehre ki jhurriyon ko zer-e-ghilaf kar le
tujh ko 'nazir' shab ki tarikiyan na Das len
ujle badan ko apne zer-e-lihaf kar le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.