KHwabon ke kisi moD pe dekha sa lage hai
ḳhvāboñ ke kisī moḌ pe dekhā sā lage hai
apnā na sahī phir bhī vo apnā sā lage hai
ai shiddat-e-girya kahīñ dil Duub na jaa.e
ye dard kā lamha mujhe dariyā sā lage hai
jis moḌ pe bichhḌe the hamesha ke liye ham
dil hai ki usī moḌ pe Thahrā sā lage hai
āñkhoñ meñ basī hai koī khoī huī ḳhushbū
jis phuul ko dekho vahī chehrā sā lage hai
barsoñ se kisī ke liye ro.e bhī nahīñ ham
kyoñ zaḳhm-e-tamannā hai ki taaza sā lage hai
tum Dūbte sūraj ke liye ro.o ho 'qaisar'
kuchh der meñ saaya bhī bichhaḌtā sā lage hai
KHwabon ke kisi moD pe dekha sa lage hai
apna na sahi phir bhi wo apna sa lage hai
ai shiddat-e-girya kahin dil Dub na jae
ye dard ka lamha mujhe dariya sa lage hai
jis moD pe bichhDe the hamesha ke liye hum
dil hai ki usi moD pe Thahra sa lage hai
aankhon mein basi hai koi khoi hui KHushbu
jis phul ko dekho wahi chehra sa lage hai
barson se kisi ke liye roe bhi nahin hum
kyon zaKHm-e-tamanna hai ki taza sa lage hai
tum Dubte suraj ke liye roo ho 'qaisar'
kuchh der mein saya bhi bichhaDta sa lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.