KHwabon ke mahal TuT ke gir jate hain aksar
ḳhvāboñ ke mahal TuuT ke gir jaate haiñ aksar
phir un se hī din apne sañvar jaate haiñ aksar
ai bād-e-sabā un ko ye paiġhām mirā de
kyuuñ chhup ke mirī rah se guzar jaate haiñ aksar
duniyā meñ har ik shai hai faqat terī kamī hai
naqshe tirī yādoñ ke ubhar jaate haiñ aksar
vo naaz uThāne ke to qaa.il hī nahīñ haiñ
phir ham bhī ḳhafā ho ke biphar jaate haiñ aksar
'kausar' tire mai-ḳhāne meñ sāġhar na subū hai
phir kyuuñ yahāñ mai-nosh Thahar jaate haiñ aksar
KHwabon ke mahal TuT ke gir jate hain aksar
phir un se hi din apne sanwar jate hain aksar
ai baad-e-saba un ko ye paigham mera de
kyun chhup ke meri rah se guzar jate hain aksar
duniya mein har ek shai hai faqat teri kami hai
naqshe teri yaadon ke ubhar jate hain aksar
wo naz uThane ke to qail hi nahin hain
phir hum bhi KHafa ho ke biphar jate hain aksar
'kausar' tere mai-KHane mein saghar na subu hai
phir kyun yahan mai-nosh Thahar jate hain aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.