KHwabon ki aaj dekhiye jagir kho gai
ḳhvāboñ kī aaj dekhiye jāgīr kho ga.ī
āñkhoñ meñ jo basī thī vo tasvīr kho ga.ī
gardan adū kī kāTte maidāñ meñ ham magar
mauqa-e-vārdāt pe shamshīr kho ga.ī
kuchh apsarā.eñ qaid thiiñ āñkhoñ meñ sub.h tak
khulte hī aañkh ḳhvāb kī ta.abīr kho ga.ī
āzād ho gayā maiñ pa hotā rahā gumāñ
āzād ho gayā huuñ ki zanjīr kho ga.ī
KHwabon ki aaj dekhiye jagir kho gai
aankhon mein jo basi thi wo taswir kho gai
gardan adu ki kaTte maidan mein hum magar
mauqa-e-wardat pe shamshir kho gai
kuchh apsaraen qaid thin aankhon mein subh tak
khulte hi aankh KHwab ki tabir kho gai
aazad ho gaya main pa hota raha guman
aazad ho gaya hun ki zanjir kho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.