KHwabon ki chandni ka sarapa kahan se aae
ḳhvāboñ kī chāñdnī kā sarāpā kahāñ se aa.e
jab jism hī nahīñ hai to saayā kahāñ se aa.e
hoñToñ ko sī liyā hai to naġhmoñ kā zikr kyā
paanī bañdhā huā hai to dhārā kahāñ se aa.e
sūraj to shash-jihat se dikhātā hai aa.ina
dīvār mil bhī jaa.e to saayā kahāñ se aa.e
ye raat ye thakan ye udāsī ye tīrgī
aise meñ koī chāñd kā TukḌā kahāñ se aa.e
ehsās to mujhe bhī hai sūraj kī pyaas kā
jab ḳhuun hī nahīñ to pasīnā kahāñ se aa.e
'tāhir' ye rahzanoñ kā luTeroñ kā shahr hai
tum is añdherī raat meñ tanhā kahāñ se aa.e
KHwabon ki chandni ka sarapa kahan se aae
jab jism hi nahin hai to saya kahan se aae
honTon ko si liya hai to naghmon ka zikr kya
pani bandha hua hai to dhaara kahan se aae
suraj to shash-jihat se dikhata hai aaina
diwar mil bhi jae to saya kahan se aae
ye raat ye thakan ye udasi ye tirgi
aise mein koi chand ka TukDa kahan se aae
ehsas to mujhe bhi hai suraj ki pyas ka
jab KHun hi nahin to pasina kahan se aae
'tahir' ye rahzanon ka luTeron ka shahr hai
tum is andheri raat mein tanha kahan se aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.