KHwabon ki kaenat mein khone nahin diya
ḳhvāboñ kī kā.enāt meñ khone nahīñ diyā
tere ḳhayāl ne mujhe sone nahīñ diyā
gardish meñ rakkhā terī kashish ne mujhe sadā
ab tak kisī Thikāne kā hone nahīñ diyā
har ma.arke se ziist ke niklā huuñ surḳh-rū
bas ye ki dil meñ ḳhauf samone nahīñ diyā
zaḳhmoñ se thā niDhāl magar mauj-e-vaqt ko
chāhat kā naqsh siine se dhone nahīñ diyā
ik hādse kī yaad ne dil kī zamīn meñ
ḳhvāhish kā tuḳhm phir kabhī bone nahīñ diyā
'kāshif' kamāl-e-zabt ne rakkhā mirā bharam
zālim ke sāmne mujhe rone nahīñ diyā
KHwabon ki kaenat mein khone nahin diya
tere KHayal ne mujhe sone nahin diya
gardish mein rakkha teri kashish ne mujhe sada
ab tak kisi Thikane ka hone nahin diya
har marke se zist ke nikla hun surKH-ru
bas ye ki dil mein KHauf samone nahin diya
zaKHmon se tha niDhaal magar mauj-e-waqt ko
chahat ka naqsh sine se dhone nahin diya
ek hadse ki yaad ne dil ki zamin mein
KHwahish ka tuKHm phir kabhi bone nahin diya
'kashif' kamal-e-zabt ne rakkha mera bharam
zalim ke samne mujhe rone nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.