KHwabon ki rahguzar se KHayalon ki rah se
ḳhvāboñ kī rahguzar se ḳhayāloñ kī raah se
tujh tak pahuñch rahā huuñ ujāloñ kī raah se
maiñ jāntā huuñ rāsta ġhazloñ ke shahr kā
aayā huuñ chal ke zohra-jamāloñ kī raah se
maiñ rafta rafta karb kī manzil tak aa gayā
dil kā qarār DhūñDne vāloñ kī raah se
be-shakl kaifiyat ke haiñ chehre judā judā
kuchh baat ban rahī hai misāloñ kī raah se
afsānoñ kī bayāz meñ afsāna hī to hai
kuchh merā tazkira bhī havāloñ kī raah se
pahuñchā huuñ us ke dard kī gahrā.ī tak 'shakīl'
uljhe hue se chand savāloñ kī raah se
KHwabon ki rahguzar se KHayalon ki rah se
tujh tak pahunch raha hun ujalon ki rah se
main jaanta hun rasta ghazlon ke shahr ka
aaya hun chal ke zohra-jamalon ki rah se
main rafta rafta karb ki manzil tak aa gaya
dil ka qarar DhunDne walon ki rah se
be-shakl kaifiyat ke hain chehre juda juda
kuchh baat ban rahi hai misalon ki rah se
afsanon ki bayaz mein afsana hi to hai
kuchh mera tazkira bhi hawalon ki rah se
pahuncha hun us ke dard ki gahrai tak 'shakil'
uljhe hue se chand sawalon ki rah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.