KHwabon ki wadiyon mein dilon ko phirae hai
ḳhvāboñ kī vādiyoñ meñ diloñ ko phirā.e hai
dariyā meñ jab bhī lahr koī sar uThā.e hai
nas nas meñ rach gayā hai takallum kā bāñkpan
āñkhoñ kī ḳhāmushī bhī mujhe gudgudā.e hai
rishtoñ kī dhuup shaam huī aur Dhal ga.ī
ab us se kyā gila vo agar bhuul jaa.e hai
darvāze khul ga.e haiñ bahut tez hai havā
tinkā samajh ke koī mujhe bhī uḌaa.e hai
lamhe laraz rahe haiñ fazā.eñ udaas haiñ
sham.a-e-tasavvurāt kī lau thartharā.e hai
mere nuqūsh-e-pā mujhe lauTā de rahguzar
ik kārvān-e-ġham mire pīchhe bhī aa.e hai
hai tez dhuup sāya-e-qurbat talāsh kar
aise meñ ghūmne koī bāhar bhī jaa.e hai
'parvāz' zindagī ko abas chheḌte haiñ aap
bechārī jaane kitnoñ ke naḳhre uThā.e hai
KHwabon ki wadiyon mein dilon ko phirae hai
dariya mein jab bhi lahr koi sar uThae hai
nas nas mein rach gaya hai takallum ka bankpan
aankhon ki KHamushi bhi mujhe gudgudae hai
rishton ki dhup sham hui aur Dhal gai
ab us se kya gila wo agar bhul jae hai
darwaze khul gae hain bahut tez hai hawa
tinka samajh ke koi mujhe bhi uDae hai
lamhe laraz rahe hain fazaen udas hain
shama-e-tasawwuraat ki lau thartharae hai
mere nuqush-e-pa mujhe lauTa de rahguzar
ek karwan-e-gham mere pichhe bhi aae hai
hai tez dhup saya-e-qurbat talash kar
aise mein ghumne koi bahar bhi jae hai
'parwaz' zindagi ko abas chheDte hain aap
bechaari jaane kitnon ke naKHre uThae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.