KHwabon mein bhi pana use aasan nahin hai
ḳhvāboñ meñ bhī paanā use āsān nahīñ hai
par thoḌī sī koshish meñ bhī nuqsān nahīñ hai
maanā ki mirī zindagī āsān nahīñ hai
hai kaun yahāñ vo jo pareshān nahīñ hai
ham ne to lahū se likhī us ke liye ġhazleñ
phir bhī use lagtā haiñ abhī jaan nahīñ hai
shāyad ye mirī zindagī kā āḳhirī pal hai
jis meñ koī ḳhvāhish koī armān nahīñ hai
giitā kabhī qur.ān kī kyoñ khāte haiñ qasmeñ
jin kā koī maz.hab koī īmān nahīñ hai
qurbānī tirange ke liye sab kī barābar
is meñ koī hindū yā musalmān nahīñ hai
KHwabon mein bhi pana use aasan nahin hai
par thoDi si koshish mein bhi nuqsan nahin hai
mana ki meri zindagi aasan nahin hai
hai kaun yahan wo jo pareshan nahin hai
hum ne to lahu se likhi us ke liye ghazlen
phir bhi use lagta hain abhi jaan nahin hai
shayad ye meri zindagi ka aaKHiri pal hai
jis mein koi KHwahish koi arman nahin hai
gita kabhi quran ki kyon khate hain qasmen
jin ka koi mazhab koi iman nahin hai
qurbani tirange ke liye sab ki barabar
is mein koi hindu ya musalman nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.