KHwabon sa koi KHwab banane mein lagi hun
ḳhvāboñ sā koī ḳhvāb banāne meñ lagī huuñ
ik dasht meñ huuñ pyaas bujhāne meñ lagī huuñ
batlāo koī ism mujhe radd-e-balā kā
maiñ āḳhirī kirdār nibhāne meñ lagī huuñ
vo sahn meñ aflāk liye kab se khaḌā hai
maiñ chhat pe huuñ bādal ko uḌāne meñ lagī huuñ
ik umr huī peḌ pe do naam likhe the
ik umr se vo naam miTāne meñ lagī huuñ
rukne na kabhī paa.e safar raushniyoñ kā
dariyā meñ charāġhoñ ko bahāne meñ lagī huuñ
jis vaqt se aane kā sunā hai tirā ghar meñ
chīzoñ ko maiñ rakhne meñ uThāne meñ lagī huuñ
jaltā bhī hai bujhtā bhī hai uḌtā bhī hai jugnū
sūraj ko ye ehsās dilāne meñ lagī huuñ
bujhne ko hai ab ḳhālī diyā umr-e-ravāñ kā
maiñ huuñ ki havāoñ ko manāne meñ lagī huuñ
KHwabon sa koi KHwab banane mein lagi hun
ek dasht mein hun pyas bujhane mein lagi hun
batlao koi ism mujhe radd-e-bala ka
main aaKHiri kirdar nibhane mein lagi hun
wo sahn mein aflak liye kab se khaDa hai
main chhat pe hun baadal ko uDane mein lagi hun
ek umr hui peD pe do nam likhe the
ek umr se wo nam miTane mein lagi hun
rukne na kabhi pae safar raushniyon ka
dariya mein charaghon ko bahane mein lagi hun
jis waqt se aane ka suna hai tera ghar mein
chizon ko main rakhne mein uThane mein lagi hun
jalta bhi hai bujhta bhi hai uDta bhi hai jugnu
suraj ko ye ehsas dilane mein lagi hun
bujhne ko hai ab KHali diya umr-e-rawan ka
main hun ki hawaon ko manane mein lagi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.