KHwabon se KHafa rahti hai tabir hamari
ḳhvāboñ se ḳhafā rahtī hai tā'bīr hamārī
le aa.ī kahāñ ham ko ye taqdīr hamārī
ābād ḳharābe se hī ham ahl-e-junūñ haiñ
taḳhrīb meñ poshīda hai tā'mīr hamārī
rakkhā hai use sīna-e-sad-chāk meñ ik 'umr
TuuTī na kabhī Tiis kī zanjīr hamārī
ai kaash ki vo aa.eñ kabhī bazm-e-suḳhan meñ
ho hijr ke 'unvān pe taqrīr hamārī
dekho na haqārat se ham āshufta-saroñ ko
kahte haiñ jise 'ishq hai jāgīr hamārī
zālim ne badal Daalā hai andāz-e-sitam ab
pahnātā hai ham ko hī vo zanjīr hamārī
KHwabon se KHafa rahti hai ta'bir hamari
le aai kahan hum ko ye taqdir hamari
aabaad KHarabe se hi hum ahl-e-junun hain
taKHrib mein poshida hai ta'mir hamari
rakkha hai use sina-e-sad-chaak mein ek 'umr
TuTi na kabhi Tis ki zanjir hamari
ai kash ki wo aaen kabhi bazm-e-suKHan mein
ho hijr ke 'unwan pe taqrir hamari
dekho na haqarat se hum aashufta-saron ko
kahte hain jise 'ishq hai jagir hamari
zalim ne badal Dala hai andaz-e-sitam ab
pahnata hai hum ko hi wo zanjir hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.