KHwabon se rat-jagon ka guzar hai kahan abhi
ḳhvāboñ se rat-jagoñ kā guzar hai kahāñ abhī
rasta kisī talab kā digar hai kahāñ abhī
din din hai raat raat hai hastī ke vāste
partav se aa.ine ko mafar hai kahāñ abhī
ye sach hai kaT gayā hai añdherā to shaam kā
āñkhoñ meñ sahar sāz-e-sahar hai kahāñ abhī
ḳhud-sāḳhta sarāb meñ hai ishq gāmzan
husn-e-ḳhirām mahv-e-safar hai kahāñ abhī
kartā hai baat baat pe us kī hī baat kyoñ
āgāh apne dil se bashar hai kahāñ abhī
sahrā take hai raah samundar kī raat din
zarrāt kī duā meñ asar hai kahāñ abhī
ā.īne meñ sajā.e tamannā kī āgahī
dil kā nasīb aisī nazar hai kahāñ abhī
sarmast ho ke raqs kare mauj-e-dil meñ jaañ
ghuñghrū kā rashk koī bhañvar hai kahāñ abhī
rauzan ko jāntā hai mah-o-mehr kā madār
'aiman' ko raushnī kī ḳhabar hai kahāñ abhī
KHwabon se rat-jagon ka guzar hai kahan abhi
rasta kisi talab ka digar hai kahan abhi
din din hai raat raat hai hasti ke waste
partaw se aaine ko mafar hai kahan abhi
ye sach hai kaT gaya hai andhera to sham ka
aankhon mein sahar saz-e-sahar hai kahan abhi
KHud-saKHta sarab mein hai ishq gamzan
husn-e-KHiram mahw-e-safar hai kahan abhi
karta hai baat baat pe us ki hi baat kyon
aagah apne dil se bashar hai kahan abhi
sahra take hai rah samundar ki raat din
zarraat ki dua mein asar hai kahan abhi
aaine mein sajae tamanna ki aagahi
dil ka nasib aisi nazar hai kahan abhi
sarmast ho ke raqs kare mauj-e-dil mein jaan
ghunghru ka rashk koi bhanwar hai kahan abhi
rauzan ko jaanta hai mah-o-mehr ka madar
'aiman' ko raushni ki KHabar hai kahan abhi
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 137)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.