KHwah-maKHwah be-sabab luTai hui
ḳhvāh-maḳhvāh be-sabab luTā.ī huī
'umr bhī baap kī kamā.ī huī
hijr meñ vasl kī talāsh meñ the
vaqt se is liye laḌā.ī huī
tujh ko lag jaa.e zindagī merī
mujh ko aa.e kisī kī aa.ī huī
terī yādoñ ke naam hotī hai
chaa.e aksar mirī banā.ī huī
yādoñ kī gaThḌī meñ bachā kyā hai
ik qasam yaad hai uThā.ī huī
le ke phirte haiñ raat bhar ham log
sub.h meñ shām-e-ġham manā.ī huī
dasht se chhāle the chhupā.e hue
pyaas dariyā se thī chhupā.ī huī
ham ne hañs kar dikhā diyā 'sāhib'
rok lī baat muñh meñ aa.ī huī
KHwah-maKHwah be-sabab luTai hui
'umr bhi bap ki kamai hui
hijr mein wasl ki talash mein the
waqt se is liye laDai hui
tujh ko lag jae zindagi meri
mujh ko aae kisi ki aai hui
teri yaadon ke nam hoti hai
chae aksar meri banai hui
yaadon ki gaThDi mein bacha kya hai
ek qasam yaad hai uThai hui
le ke phirte hain raat bhar hum log
subh mein sham-e-gham manai hui
dasht se chhaale the chhupae hue
pyas dariya se thi chhupai hui
hum ne hans kar dikha diya 'sahib'
rok li baat munh mein aai hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.