KHwah muflisi se nikal gaya ya tawangari se nikal gaya
ḳhvāh muflisī se nikal gayā yā tavañgarī se nikal gayā
vahī vaqt asl-e-hayāt thā jo hañsī-ḳhushī se nikal gayā
use bhuul jā.ūñ ye kah ke maiñ vo mirā nahīñ thā nahīñ nahīñ
mujhe de ke jo na.ī zindagī mirī zindagī se nikal gayā
kise apnā kah ke pukāriye kise dil ke ghar meñ utāriye
vo jo pyaar naam kā vasf thā ḳhū-e-ādmī se nikal gayā
jo lage sameTne maal dhan to sameTte hī chale ga.e
yahīñ chhoḌ jā.eñge sab kā sab ye dimāġh hī se nikal gayā
kahīñ bāhar apne vajūd ke na hai jot koī na nuur hai
jise apne dil meñ ziyā milī vahī tīrgī se nikal gayā
sabhī ik maqām pe jā mile haañ bas ek farq zarūr thā
koī is galī se nikal gayā koī us galī se nikal gayā
yahāñ jis kisī ne bhī sach kahā use maut tak kī milī sazā
ye to 'shād' terā nasīb thā to bhalī-burī se nikal gayā
KHwah muflisi se nikal gaya ya tawangari se nikal gaya
wahi waqt asl-e-hayat tha jo hansi-KHushi se nikal gaya
use bhul jaun ye kah ke main wo mera nahin tha nahin nahin
mujhe de ke jo nai zindagi meri zindagi se nikal gaya
kise apna kah ke pukariye kise dil ke ghar mein utariye
wo jo pyar nam ka wasf tha KHu-e-admi se nikal gaya
jo lage sameTne mal dhan to sameTte hi chale gae
yahin chhoD jaenge sab ka sab ye dimagh hi se nikal gaya
kahin bahar apne wajud ke na hai jot koi na nur hai
jise apne dil mein ziya mili wahi tirgi se nikal gaya
sabhi ek maqam pe ja mile han bas ek farq zarur tha
koi is gali se nikal gaya koi us gali se nikal gaya
yahan jis kisi ne bhi sach kaha use maut tak ki mili saza
ye to 'shad' tera nasib tha to bhali-buri se nikal gaya
- Book : R oodad-e-Watan (Pg. 220)
- Author : Shaad Bilgavi
- Publication : Shaad Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.