Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwahish-e-did ke aankhon mein ujale le kar

Kaleem Noori Firozabadi

KHwahish-e-did ke aankhon mein ujale le kar

Kaleem Noori Firozabadi

MORE BYKaleem Noori Firozabadi

    ḳhvāhish-e-dīd ke āñkhoñ meñ ujāle le kar

    DhūñDhtā huuñ maiñ tujhe paañv meñ chhāle le kar

    zard paḌ jaate haiñ tābinda sitāroñ ke badan

    chāñd jis vaqt nikaltā hai ujāle le kar

    TuuT jā.egā ye terā bhī takabbur sūraj

    raat jab aa.egī tārīk havāle le kar

    zindagī us ko bachānā ho to yuuñ bachtī hai

    bhej detā hai ḳhudā makaḌiyāñ jaale le kar

    koī suqrāt nahīñ maiñ jo ḳhushī se luuñ

    aap kyuuñ aa.e haiñ ye zahr ke pyāle le kar

    KHwahish-e-did ke aankhon mein ujale le kar

    DhunDhta hun main tujhe panw mein chhaale le kar

    zard paD jate hain tabinda sitaron ke badan

    chand jis waqt nikalta hai ujale le kar

    TuT jaega ye tera bhi takabbur suraj

    raat jab aaegi tarik hawale le kar

    zindagi us ko bachana ho to yun bachti hai

    bhej deta hai KHuda makaDiyan jale le kar

    koi suqraat nahin main jo KHushi se pi lun

    aap kyun aae hain ye zahr ke pyale le kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now