KHwahish-e-dil jo Dal-Dal rahe
ḳhvāhish-e-dil jo Dāl-Dāl rahe
us ke hisse meñ bas zavāl rahe
pankh phailā.e qaid meñ par-dār
chār-sū bebasī kā jaal rahe
aag siine meñ aarzū kī ho jab
vaqt-e-āḳhir talak ubaal rahe
āshiqī tere naam kī hai duā
tū salāmat yuuñ māh-o-sāl rahe
mujh se terī na ho vafā maqsūd
par ho itnā ki ham-ḳhayāl rahe
is tamanna pe ho ḳhudā kā karam
merā chehra ḳhushī se laal rahe
bas ye 'raunaq' duā kare rab se
ek hī Dhang ek chaal rahe
KHwahish-e-dil jo Dal-Dal rahe
us ke hisse mein bas zawal rahe
pankh phailae qaid mein par-dar
chaar-su bebasi ka jal rahe
aag sine mein aarzu ki ho jab
waqt-e-aKHir talak ubaal rahe
aashiqi tere nam ki hai dua
tu salamat yun mah-o-sal rahe
mujh se teri na ho wafa maqsud
par ho itna ki ham-KHayal rahe
is tamanna pe ho KHuda ka karam
mera chehra KHushi se lal rahe
bas ye 'raunaq' dua kare rab se
ek hi Dhang ek chaal rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.