KHwahish-e-wasl ko qalil na kar
ḳhvāhish-e-vasl ko qalīl na kar
shab-e-hijrāñ ko ab tavīl na kar
maiñ ne tujh ko rakhā sar-āñkhoñ par
zindagī tū mujhe zalīl na kar
jis kā jī chāhe pī le jī bhar ke
itnī sastī kabhī sabīl na kar
apne nām-o-nishāñ miTātā chal
naqsh-e-pā ko tū sañg-e-mīl na kar
niiñd kī vādiyoñ meñ raat guzār
arsa-e-ḳhvāb ko qalīl na kar
terā muhtāj umr bhar maiñ rahūñ
ai ḳhudā mujh ko ḳhud-kafīl na kar
raat kī aañkh band hone lagī
dāstāñ ko bahut tavīl na kar
maiñ ne to ashk pī liyā 'nūrī'
apnī āñkhoñ ko tū bhī jhiil na kar
KHwahish-e-wasl ko qalil na kar
shab-e-hijran ko ab tawil na kar
main ne tujh ko rakha sar-ankhon par
zindagi tu mujhe zalil na kar
jis ka ji chahe pi le ji bhar ke
itni sasti kabhi sabil na kar
apne nam-o-nishan miTata chal
naqsh-e-pa ko tu sang-e-mil na kar
nind ki wadiyon mein raat guzar
arsa-e-KHwab ko qalil na kar
tera muhtaj umr bhar main rahun
ai KHuda mujh ko KHud-kafil na kar
raat ki aankh band hone lagi
dastan ko bahut tawil na kar
main ne to ashk pi liya 'nuri'
apni aankhon ko tu bhi jhil na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.