KHwahish-e-yar ne hamein mara
ḳhvāhish-e-yār ne hameñ maarā
ġham ke āzār ne hameñ maarā
ham ye mahshar meñ saaf kah deñge
is sitamgār ne hameñ maarā
ye kahā thā ki marte haiñ tum par
jaan se yaar ne hameñ maarā
terī raftār ne kiyā pāmāl
terī guftār ne hameñ maarā
be-ḳhatā kahne se raqīboñ ke
but-e-ḳhuñḳhār ne hameñ maarā
haa.e kis naaz se tarah de kar
us tarahdār ne hameñ maarā
yaañ talak dushmanoñ ne kaan bhare
āḳhir us yaar ne hameñ maarā
yuuñ taḌapte na vasl ke liye ham
us ke iqrār ne hameñ maarā
sadma-e-ġham se jaañ na jaatī 'hayā'
rashk-e-aġhyār ne hameñ maarā
KHwahish-e-yar ne hamein mara
gham ke aazar ne hamein mara
hum ye mahshar mein saf kah denge
is sitamgar ne hamein mara
ye kaha tha ki marte hain tum par
jaan se yar ne hamein mara
teri raftar ne kiya pamal
teri guftar ne hamein mara
be-KHata kahne se raqibon ke
but-e-KHunKHar ne hamein mara
hae kis naz se tarah de kar
us tarahdar ne hamein mara
yan talak dushmanon ne kan bhare
aaKHir us yar ne hamein mara
yun taDapte na wasl ke liye hum
us ke iqrar ne hamein mara
sadma-e-gham se jaan na jati 'haya'
rashk-e-aghyar ne hamein mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.