KHwahish jab ubhri to manzar Dub gaya
ḳhvāhish jab ubhrī to manzar Duub gayā
ya.anī phir maiñ apne andar Duub gayā
sahmī sahmī āñkhoñ meñ vīrānī hai
ya.anī maiñ paanī ke bāhar Duub gayā
sub.h huī to charchā thā ye logoñ meñ
chāñd añdhere meñ hī chhat par Duub gayā
maiñ us kī āñkhoñ meñ tohmat rakh aayā
jism kī tah meñ shak kā ḳhanjar Duub gayā
fāteh aur maftūh mujhe donoñ kahiye
maiñ jab ubhrā saarā lashkar Duub gayā
KHwahish jab ubhri to manzar Dub gaya
yani phir main apne andar Dub gaya
sahmi sahmi aankhon mein virani hai
yani main pani ke bahar Dub gaya
subh hui to charcha tha ye logon mein
chand andhere mein hi chhat par Dub gaya
main us ki aankhon mein tohmat rakh aaya
jism ki tah mein shak ka KHanjar Dub gaya
fateh aur maftuh mujhe donon kahiye
main jab ubhra sara lashkar Dub gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.