KHwahish jo dil mein thi use marne nahin diya
ḳhvāhish jo dil meñ thī use marne nahīñ diyā
palkoñ pe āñsuoñ ko bikharne nahīñ diyā
le aa.ī huuñ maiñ aañkh meñ ik shab sameT kar
paiġhām koī mujh ko sahar ne nahīñ diyā
sab dhuup kā libās pahan kar khaḌe rahe
saaya yahāñ kisī bhī shajar ne nahīñ diyā
vo merā kuchh nahīñ thā magar is ke bāvajūd
dil meñ use kisī ke utarne nahīñ diyā
har-sū dikhā.ī detā thā mujh ko jamāl-e-yār
so dil meñ naqsh-e-ġhair ubharne nahīñ diyā
dekho tumhāre hijr se haarī nahīñ huuñ maiñ
dil ko kabhī vafā se mukarne nahīñ diyā
dīvār-o-dar se apne hī khaTkā lagā rahā
mujh ko sukūn mere hī ghar ne nahīñ diyā
kaise kahūñ 'sadaf' ki mire rahnumāoñ ne
manzil pe paañv tak mujhe dharne nahīñ diyā
KHwahish jo dil mein thi use marne nahin diya
palkon pe aansuon ko bikharne nahin diya
le aai hun main aankh mein ek shab sameT kar
paigham koi mujh ko sahar ne nahin diya
sab dhup ka libas pahan kar khaDe rahe
saya yahan kisi bhi shajar ne nahin diya
wo mera kuchh nahin tha magar is ke bawajud
dil mein use kisi ke utarne nahin diya
har-su dikhai deta tha mujh ko jamal-e-yar
so dil mein naqsh-e-ghair ubharne nahin diya
dekho tumhaare hijr se haari nahin hun main
dil ko kabhi wafa se mukarne nahin diya
diwar-o-dar se apne hi khaTka laga raha
mujh ko sukun mere hi ghar ne nahin diya
kaise kahun 'sadaf' ki mere rahnumaon ne
manzil pe panw tak mujhe dharne nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.