KHwahish ke peD ko kabhi phalne nahin diya
ḳhvāhish ke peḌ ko kabhī phalne nahīñ diyā
patthar kā meñh ghar pe barasne nahīñ diyā
ḳhāmoshiyoñ se chhilne lagīñ thiiñ samā.ateñ
lekin sadā ko zaḳhm pa malne nahīñ diyā
ḳhvāboñ kī kirchiyoñ ne mujhe zaḳhm to diye
āñkhoñ se phir bhī ḳhuun Tapakne nahīñ diyā
chhiḌkā hai us pe sabr kā paanī tamām umr
jazbāt kā alaav bhaḌakne nahīñ diyā
lipTī jo jism se to kiyā shaam ke sipurd
parchhā.īñ ko bhī paañv pe girne nahīñ diyā
sab se baḌe shujā' se thā merā ma.arka
lekin aanā ne mujh ko palaTne nahīñ diyā
rasta ye kis tarah kā hai sahrā-e-zindagī
is ne to do qadam mujhe chalne nahīñ diyā
KHwahish ke peD ko kabhi phalne nahin diya
patthar ka meinh ghar pe barasne nahin diya
KHamoshiyon se chhilne lagin thin samaaten
lekin sada ko zaKHm pa malne nahin diya
KHwabon ki kirchiyon ne mujhe zaKHm to diye
aankhon se phir bhi KHun Tapakne nahin diya
chhiDka hai us pe sabr ka pani tamam umr
jazbaat ka alaw bhaDakne nahin diya
lipTi jo jism se to kiya sham ke sipurd
parchhain ko bhi panw pe girne nahin diya
sab se baDe shuja' se tha mera marka
lekin aana ne mujh ko palaTne nahin diya
rasta ye kis tarah ka hai sahra-e-zindagi
is ne to do qadam mujhe chalne nahin diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.