KHwahish-pahaD jis ke tale dab gaya hun main
ḳhvāhish-pahāḌ jis ke tale dab gayā huuñ maiñ
pahle thā barqarār yahīñ ab gayā huuñ maiñ
merā 'abas ye sog hai ye kis ke bas kā rog
tū hī mujhe sañbhāl ki yārab gayā huuñ maiñ
hai bāñjh merī soch nahīñ jis meñ koī loch
aanā bahut muhāl hai ab jab gayā huuñ maiñ
zinda huuñ merī āmad-o-shud se hai kā.enāt
ā.ūñgā kaal hai mirā mar kab gayā huuñ maiñ
kyoñ log mahv-e-sog haiñ ro-dho rahe haiñ 'krishn'
'mohan' samajh rahe haiñ yahī sab gayā huuñ maiñ
KHwahish-pahaD jis ke tale dab gaya hun main
pahle tha barqarar yahin ab gaya hun main
mera 'abas ye sog hai ye kis ke bas ka rog
tu hi mujhe sanbhaal ki yarab gaya hun main
hai banjh meri soch nahin jis mein koi loch
aana bahut muhaal hai ab jab gaya hun main
zinda hun meri aamad-o-shud se hai kaenat
aaunga kal hai mera mar kab gaya hun main
kyon log mahw-e-sog hain ro-dho rahe hain 'krishn'
'mohan' samajh rahe hain yahi sab gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.