KHwahishen marna thoDe pe guzara karna
ḳhvāhisheñ mārnā thoḌe pe guzārā karnā
yā'nī duniyā hī meñ duniyā se kināra karnā
tujh ko mā'lūm nahīñ rasm-e-faqīrī kyā hai
ḳhaak ko ḳhaak meñ rakh rakh ke nihārā karnā
'ishq khul jā.egā ik roz mire ḳhāk-nashīñ
ḳhalvateñ DhūñDnā al-haq pukārā karnā
gar ye ḳhvāhish hai ki tū 'ishq ko raqsāñ dekhe
un kī mahfil meñ kabhī zikr hamārā karnā
koī mā'nī nahīñ rakhtā hai dar-e-bāb-e-junūñ
kis taraf dekhnā kis or ishāra karnā
'aql kā kaam nahīñ kār-e-junūñ meñ ai dil
varna āsān kahāñ ḳhud kā ḳhasāra karnā
zer ho jā.egī ye 'aib-talab terī sarisht
ḳhud ke ā.īne meñ ḳhud hī kā nazāra karnā
un kī chaukhaT pe tū rakh aanā 'aqīdat ke gulāb
ai sabā aaj ye ik kaam hamārā karnā
dil kī chāhat hai ki bas yaar kī bastī meñ qiyām
ai mire 'ḳhāna-ba-dosh' aaj dubāra karnā
KHwahishen marna thoDe pe guzara karna
ya'ni duniya hi mein duniya se kinara karna
tujh ko ma'lum nahin rasm-e-faqiri kya hai
KHak ko KHak mein rakh rakh ke nihaara karna
'ishq khul jaega ek roz mere KHak-nashin
KHalwaten DhunDna al-haq pukara karna
gar ye KHwahish hai ki tu 'ishq ko raqsan dekhe
un ki mahfil mein kabhi zikr hamara karna
koi ma'ni nahin rakhta hai dar-e-bab-e-junun
kis taraf dekhna kis or ishaara karna
'aql ka kaam nahin kar-e-junun mein ai dil
warna aasan kahan KHud ka KHasara karna
zer ho jaegi ye 'aib-talab teri sarisht
KHud ke aaine mein KHud hi ka nazara karna
un ki chaukhaT pe tu rakh aana 'aqidat ke gulab
ai saba aaj ye ek kaam hamara karna
dil ki chahat hai ki bas yar ki basti mein qiyam
ai mere 'KHana-ba-dosh' aaj dubara karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.