KHwahishon ka adab kiya maine
ḳhvāhishoñ kā adab kiyā maiñ ne
hasb-e-hājat talab kiyā maiñ ne
ek sachchā.ī ko kiyā sajda
ik haqīqat ko rab kiyā maiñ ne
jaane ab kis liye ḳhafā ho tum
jo kahā tum ne sab kiyā maiñ ne
jhuk ga.ī har nazar aqīdat se
aap kā zikr jab kiyā maiñ ne
apnī ḳhushiyoñ se pher kar nazreñ
ġham tirā muntaḳhab kiyā maiñ ne
bhuul se bhuul ho ga.ī hogī
jurm dānista kab kiyā maiñ ne
sach kā iz.hār kar diyā 'sālim'
uf ye kaisā ġhazab kiyā maiñ ne
KHwahishon ka adab kiya main ne
hasb-e-hajat talab kiya main ne
ek sachchai ko kiya sajda
ek haqiqat ko rab kiya main ne
jaane ab kis liye KHafa ho tum
jo kaha tum ne sab kiya main ne
jhuk gai har nazar aqidat se
aap ka zikr jab kiya main ne
apni KHushiyon se pher kar nazren
gham tera muntaKHab kiya main ne
bhul se bhul ho gai hogi
jurm danista kab kiya main ne
sach ka izhaar kar diya 'salim'
uf ye kaisa ghazab kiya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.