KHwahishon ka badan samundar hai
ḳhvāhishoñ kā badan samundar hai
ruuh us ke yaqīñ kā maz.har hai
kabhī ḳhush ho gayā kabhī ġhamgīñ
merā mausam to mere andar hai
bas vahī kyoñ pasand hai mujh ko
jo mirī dastaras se bāhar hai
koī bhī mutma.in nahīñ miltā
aadmī kā yahī muqaddar hai
ek ho jis kā zāhir-o-bātin
sach to ye hai vo sab se behtar hai
apnī hī zaat meñ haiñ sab mahsūr
apnā apnā har ek kā ghar hai
KHwahishon ka badan samundar hai
ruh us ke yaqin ka mazhar hai
kabhi KHush ho gaya kabhi ghamgin
mera mausam to mere andar hai
bas wahi kyon pasand hai mujh ko
jo meri dastaras se bahar hai
koi bhi mutmain nahin milta
aadmi ka yahi muqaddar hai
ek ho jis ka zahir-o-baatin
sach to ye hai wo sab se behtar hai
apni hi zat mein hain sab mahsur
apna apna har ek ka ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.