KHwahishon ka KHun aankhon ki nami mein DhunDhiye
ḳhvāhishoñ kā ḳhuun āñkhoñ kī namī meñ DhūñDhiye
dāstān-e-ġham hamārī ḳhāmushī meñ DhūñDhiye
haal yuuñ hasb-e-rivāyat pūchhne se peshtar
dil ke TukḌoñ kī khanak phīkī hañsī meñ DhūñDhiye
muskurānā to nahīñ āsān ġham ko jhel kar
chāñd ke dil kī jalan ko chāñdnī meñ DhūñDhiye
dab gayā jab vo marāsim ḳhaak ho kar ḳhaak meñ
us kī garmī ko bhalā kyoñ ḳhaak hī meñ DhūñDhiye
aap kī zarra-navāzī daad kā hai shukriyā
par kabhī to huuk dil kī shā.erī meñ DhūñDhiye
KHwahishon ka KHun aankhon ki nami mein DhunDhiye
dastan-e-gham hamari KHamushi mein DhunDhiye
haal yun hasb-e-riwayat puchhne se peshtar
dil ke TukDon ki khanak phiki hansi mein DhunDhiye
muskurana to nahin aasan gham ko jhel kar
chand ke dil ki jalan ko chandni mein DhunDhiye
dab gaya jab wo marasim KHak ho kar KHak mein
us ki garmi ko bhala kyon KHak hi mein DhunDhiye
aap ki zarra-nawazi dad ka hai shukriya
par kabhi to huk dil ki shaeri mein DhunDhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.