KHwahishon ka meri sailab nahin TuTega
ḳhvāhishoñ kā mirī sailāb nahīñ TūTegā
niiñd TūTegī magar ḳhvāb nahīñ TūTegā
toḌne kī koī jī jaan se koshish to kare
kaun kahtā hai ki mahtāb nahīñ TūTegā
vaqt-e-ġhurbat ne ġhalat kar diyā sābit mujh ko
sochā thā halqa-e-ahbāb nahīñ TūTegā
mustanad ho chukī tahrīr mirī duniyā meñ
ab mirā ek bhī e’rāb nahīñ TūTegā
nā-tavāñ hai magar āsāñ na samajh ai sūraj
ek do pal meñ ye tālāb nahīñ TūTegā
mujh ko tahzīb virāsat meñ milī hai 'aḳhlāq'
yuuñ mirā jazba-e-ādāb nahīñ TūTegā
KHwahishon ka meri sailab nahin TuTega
nind TuTegi magar KHwab nahin TuTega
toDne ki koi ji jaan se koshish to kare
kaun kahta hai ki mahtab nahin TuTega
waqt-e-ghurbat ne ghalat kar diya sabit mujh ko
socha tha halqa-e-ahbab nahin TuTega
mustanad ho chuki tahrir meri duniya mein
ab mera ek bhi e’rab nahin TuTega
na-tawan hai magar aasan na samajh ai suraj
ek do pal mein ye talab nahin TuTega
mujh ko tahzib wirasat mein mili hai 'aKHlaq'
yun mera jazba-e-adab nahin TuTega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.