KHwahishon ka wird yun mat kar parae shahr mein
ḳhvāhishoñ kā vird yuuñ mat kar parā.e shahr meñ
fāḳhta mar jā.egī ghuT kar qabā-e-shahr meñ
raat bhar dil meñ samundar karvaTeñ letā rahā
raat bhar bahtā rahā dariyā parā.e shahr meñ
raushnī hote hī kaalī āñdhiyāñ chalne lagīñ
bujh ga.e jitne diye ham ne jalā.e shahr meñ
zindagī ke peḌ se kuchh phuul bhī lipTe rahe
pattharoñ kī bhī rihā.ish thī ridā-e-shahr meñ
jī rahā huuñ bhuuk ke panje ko sāñseñ bech kar
phir rahā huuñ laash maiñ apnī uThā.e shahr meñ
shaam tak thā khiḌkiyoñ meñ pichhḌī āñkhoñ kā hujūm
chāñdnī phailī to aañsū the havā-e-shahr meñ
KHwahishon ka wird yun mat kar parae shahr mein
faKHta mar jaegi ghuT kar qaba-e-shahr mein
raat bhar dil mein samundar karwaTen leta raha
raat bhar bahta raha dariya parae shahr mein
raushni hote hi kali aandhiyan chalne lagin
bujh gae jitne diye hum ne jalae shahr mein
zindagi ke peD se kuchh phul bhi lipTe rahe
pattharon ki bhi rihaish thi rida-e-shahr mein
ji raha hun bhuk ke panje ko sansen bech kar
phir raha hun lash main apni uThae shahr mein
sham tak tha khiDkiyon mein pichhDi aankhon ka hujum
chandni phaili to aansu the hawa-e-shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.