KHwahishon ko gale ka haar na kar
ḳhvāhishoñ ko gale kā haar na kar
maut se ḳhud ko ham-kanār na kar
mujh se sarzad huā hai jurm-e-anā
daar par khīñch sangsār na kar
jo bhī karnā hai kar guzar ik baar
tū mujhe qatl qist-vār na kar
dushmanī meñ bhī rakh kuchh apnī shaan
vaar kar lekin ochhe vaar na kar
tū jise zindagī samajhtā hai
ḳhvāb hai ḳhvāb e.atibār na kar
na.ī rāheñ talāsh ai 'rahbar'
ravish-e-ām iḳhtiyār na kar
KHwahishon ko gale ka haar na kar
maut se KHud ko ham-kanar na kar
mujh se sarzad hua hai jurm-e-ana
dar par khinch sangsar na kar
jo bhi karna hai kar guzar ek bar
tu mujhe qatl qist-war na kar
dushmani mein bhi rakh kuchh apni shan
war kar lekin ochhe war na kar
tu jise zindagi samajhta hai
KHwab hai KHwab eatibar na kar
nai rahen talash ai 'rahbar'
rawish-e-am iKHtiyar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.