KHwahishon se bar-sar-e-paikar ho jaana paDa
ḳhvāhishoñ se bar-sar-e-paikār ho jaanā paḌā
ḳhud hī dil kī raah meñ dīvār ho jaanā paḌā
un se pūchho rizq kī majbūriyāñ kyā chiiz haiñ
sub.h hote hī jinheñ bedār ho jaanā paḌā
nam uThā.e phir rahe the apnī āñkhoñ meñ sabhī
aa.ine ko ek din zañgār ho jaanā paḌā
ism paḌhnā thā ki saa.e chīḳhne par aa ga.e
sab ke sab sāyoñ ko phir ashjār ho jaanā paḌā
kaaT bhī rakhnā paḌī lahje meñ aahan dhaar kī
maḳhmalīñ lafzoñ ko jab talvār ho jaanā paḌā
maiñ ne sab ahbāb ko ḳhush rakkhā jitnā ho sakā
yuuñ 'fidā' har din mujhe mismār ho jaanā paḌā
KHwahishon se bar-sar-e-paikar ho jaana paDa
KHud hi dil ki rah mein diwar ho jaana paDa
un se puchho rizq ki majburiyan kya chiz hain
subh hote hi jinhen bedar ho jaana paDa
nam uThae phir rahe the apni aankhon mein sabhi
aaine ko ek din zangar ho jaana paDa
ism paDhna tha ki sae chiKHne par aa gae
sab ke sab sayon ko phir ashjar ho jaana paDa
kaT bhi rakhna paDi lahje mein aahan dhaar ki
maKHmalin lafzon ko jab talwar ho jaana paDa
main ne sab ahbab ko KHush rakkha jitna ho saka
yun 'fida' har din mujhe mismar ho jaana paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.