KHwahishon se hua zawal mera
ḳhvāhishoñ se huā zavāl mirā
jiinā ho kar rahā vabāl mirā
roz jiitā huuñ roz martā huuñ
dekhte jaao tum kamāl mirā
maiñ hī jab ḳhud ko bhuul baiThā huuñ
kaun rakkhegā ab ḳhayāl mirā
roz-o-shab jin se thiiñ mulāqāteñ
un se milnā huā muhāl mirā
baat apnī sunā hai kyā sūrat
mujh se mat pūchh kyā hai haal mirā
kaun degā javāb merā 'matīn'
hogā sharminda kyā savāl mirā
KHwahishon se hua zawal mera
jina ho kar raha wabaal mera
roz jita hun roz marta hun
dekhte jao tum kamal mera
main hi jab KHud ko bhul baiTha hun
kaun rakkhega ab KHayal mera
roz-o-shab jin se thin mulaqaten
un se milna hua muhaal mera
baat apni suna hai kya surat
mujh se mat puchh kya hai haal mera
kaun dega jawab mera 'matin'
hoga sharminda kya sawal mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.