ki tere shahr se aati saDak se munsalik hain
ki tere shahr se aatī saḌak se munsalik haiñ
mirī ḳhushiyāñ tire ġham kī kumak se munsalik haiñ
hamārī baat meñ kuchh vazn ho to kis tarah ho
ki ham to ġhair ke nān-o-namak se munsalik haiñ
use dekhūñ to phir mujh ko dikhā.ī de zarā kuchh
mirī āñkheñ un āñkhoñ kī chamak se munsalik haiñ
tire maazī se to gahrā ta.alluq hai hamārā
sitam ye hai ki tere aaj tak se munsalik haiñ
zamīneñ aap apne taur kar saktīñ nahīñ kuchh
zamīnoñ ke vasā.il sab falak se munsalik haiñ
hamārī ruuh kī bālīdgī ke silsile sab
tumhāre husn kī taaza mahak se munsalik haiñ
diloñ ke darmiyāñ ye dūriyāñ kam hoñ to kaise
zamāna ho gayā ham log shak se munsalik haiñ
tar-o-tāza hamesha is liye rahte haiñ 'nāmī'
pahāḌī silsile āb-e-ḳhunak se munsalik haiñ
ki tere shahr se aati saDak se munsalik hain
meri KHushiyan tere gham ki kumak se munsalik hain
hamari baat mein kuchh wazn ho to kis tarah ho
ki hum to ghair ke nan-o-namak se munsalik hain
use dekhun to phir mujh ko dikhai de zara kuchh
meri aankhen un aankhon ki chamak se munsalik hain
tere mazi se to gahra talluq hai hamara
sitam ye hai ki tere aaj tak se munsalik hain
zaminen aap apne taur kar saktin nahin kuchh
zaminon ke wasail sab falak se munsalik hain
hamari ruh ki baalidgi ke silsile sab
tumhaare husn ki taza mahak se munsalik hain
dilon ke darmiyan ye duriyan kam hon to kaise
zamana ho gaya hum log shak se munsalik hain
tar-o-taza hamesha is liye rahte hain 'nami'
pahaDi silsile aab-e-KHunak se munsalik hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.