kidhar hai meri taraf muskura ke dekh zara
kidhar hai merī taraf muskurā ke dekh zarā
kabhī nazar se nazar ko milā ke dekh zarā
tamām 'umr ye tārīkiyāñ raheñgī ab
bujhā charāġh huuñ mujh ko jalā ke dekh zarā
tujhe bhī pyaas kī qīmat chalegī shaiḳh pata
bahut savāb hai un ko pilā ke dekh zarā
tumhāre dil kī chubhan bhī zarūr kam hogī
kisī kā ġham kabhī dil meñ dabā ke dekh zarā
'ajab ye dard kā rishta hai saarī duniyā se
tū ḳhud ko tanhā kabhī to luTā ke dekh zarā
kidhar hai meri taraf muskura ke dekh zara
kabhi nazar se nazar ko mila ke dekh zara
tamam 'umr ye tarikiyan rahengi ab
bujha charagh hun mujh ko jala ke dekh zara
tujhe bhi pyas ki qimat chalegi shaiKH pata
bahut sawab hai un ko pila ke dekh zara
tumhaare dil ki chubhan bhi zarur kam hogi
kisi ka gham kabhi dil mein daba ke dekh zara
'ajab ye dard ka rishta hai sari duniya se
tu KHud ko tanha kabhi to luTa ke dekh zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.