ki ehtiyat dil ne bahut par kaha gaya
kī ehtiyāt dil ne bahut par kahā gayā
chhoḌī jo un kī raah to dar dar kahā gayā
saaqī ne mere naam pe sāġhar paTak diyā
tishna-labī ko merā muqaddar kahā gayā
har chashm-e-iltifāt ke husn-e-nigāh ko
ā.īna-e-ḳhulūs kā jauhar kahā gayā
ehsās-e-husn-e-zarf se miltī hai aabrū
paanī kī ek buuñd ko gauhar kahā gayā
ai sub.h kī kiran ye ḳhayālāt-e-zindagī
vo baat kaun thī jise ghar ghar kahā gayā
parvāziyoñ kī sharh nazar tak na kar sakī
lekin ḳhayāl-e-tā.ir-e-be-par kahā gayā
nairañgiyoñ kī baat hai ai āriz-e-jamāl
sho'la dahak uThā to gul-e-tar kahā gayā
'jumbish' sakūñ-navāz-mizājī ko chhoḌiye
ḳhāmoshi-e-hayāt ko aksar kahā gayā
ki ehtiyat dil ne bahut par kaha gaya
chhoDi jo un ki rah to dar dar kaha gaya
saqi ne mere nam pe saghar paTak diya
tishna-labi ko mera muqaddar kaha gaya
har chashm-e-iltifat ke husn-e-nigah ko
aaina-e-KHulus ka jauhar kaha gaya
ehsas-e-husn-e-zarf se milti hai aabru
pani ki ek bund ko gauhar kaha gaya
ai subh ki kiran ye KHayalat-e-zindagi
wo baat kaun thi jise ghar ghar kaha gaya
parwaziyon ki sharh nazar tak na kar saki
lekin KHayal-e-tair-e-be-par kaha gaya
nairangiyon ki baat hai ai aariz-e-jamal
sho'la dahak uTha to gul-e-tar kaha gaya
'jumbish' sakun-nawaz-mizaji ko chhoDiye
KHamoshi-e-hayat ko aksar kaha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.