ki maine aah-e-garm jo furqat ki raat mein
ki maine aah-e-garm jo furqat ki raat mein
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
kī maiñ ne āh-e-garm jo furqat kī raat meñ
ġhul paḌ gayā ki aag lagī kā.enāt meñ
lākhoñ se maiñ do-chār huā shash-jihāt meñ
tujh sā na paayā DhūñD liyā kā.enāt meñ
chaltī hai tere haath qayāmat qadam qadam
ejāz-e-īsvī hai tirī baat baat meñ
nīchī nigāh-e-nāz ne kuchh to churā liyā
āñkheñ lagī huī thiiñ magar dil ke ghaat meñ
murdoñ meñ jaan aa ga.ī jab tere lab hile
iisā ko kyā kalām rahā terī baat meñ
sun le tumhāre gar lab-e-jāñ-baḳhsh kā maza
mar jaa.e ḳhizr Duub ke āb-e-hayāt meñ
aise suḳhan meñ kyā hai maza jis ke sāma.īn
ma.anī hī DhūñDhte phireñ kashf-ul-luġhāt meñ
kyā tāb-e-sham.a hai sar-e-mahfil jo sar uThā.e
'sho.ala' zabān kaTtī hai vaañ baat baat meñ
ki main ne aah-e-garm jo furqat ki raat mein
ghul paD gaya ki aag lagi kaenat mein
lakhon se main do-chaar hua shash-jihat mein
tujh sa na paya DhunD liya kaenat mein
chalti hai tere hath qayamat qadam qadam
ejaz-e-iswi hai teri baat baat mein
nichi nigah-e-naz ne kuchh to chura liya
aankhen lagi hui thin magar dil ke ghat mein
murdon mein jaan aa gai jab tere lab hile
isa ko kya kalam raha teri baat mein
sun le tumhaare gar lab-e-jaan-baKHsh ka maza
mar jae KHizr Dub ke aab-e-hayat mein
aise suKHan mein kya hai maza jis ke samain
mani hi DhunDhte phiren kashf-ul-lughat mein
kya tab-e-shama hai sar-e-mahfil jo sar uThae
'shoala' zaban kaTti hai wan baat baat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.