ki mohabbat bhi to murawwat mein
kī mohabbat bhī to muravvat meñ
ye ḳhabāsat thī apnī ḳhaslat meñ
kaise mumkin hai dil ko bhaa.e bas
ek hī shaḳhs itnī ḳhilqat meñ
maiñ kahūñ tū mirā makān na le
dam ghuTegā yahāñ kī vahshat meñ
us kī mahfil meñ dil paḌā hogā
aa gayā thā maiñ uTh ke 'ujlat meñ
yaad kartā huuñ tujh ko fursat se
kaam kartā huuñ baaqī fursat meñ
ġham kā mūjib nahīñ hai koī bhī
ye to dāḳhil hai apnī fitrat meñ
apnā honā to ik sharārat hai
kaun shāmil thā is sharārat meñ
'ishq kā kārobār kaun kare
bas ḳhasāra hai is tijārat meñ
ki mohabbat bhi to murawwat mein
ye KHabasat thi apni KHaslat mein
kaise mumkin hai dil ko bhae bas
ek hi shaKHs itni KHilqat mein
main kahun tu mera makan na le
dam ghuTega yahan ki wahshat mein
us ki mahfil mein dil paDa hoga
aa gaya tha main uTh ke 'ujlat mein
yaad karta hun tujh ko fursat se
kaam karta hun baqi fursat mein
gham ka mujib nahin hai koi bhi
ye to daKHil hai apni fitrat mein
apna hona to ek shararat hai
kaun shamil tha is shararat mein
'ishq ka karobar kaun kare
bas KHasara hai is tijarat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.