ki shikayat na koi shikwa-e-bedad kiya
kī shikāyat na koī shikva-e-bedād kiyā
kyā kahe vo ki jise dost ne barbād kiyā
kyā ḳhabar kis kī duā se vo hameñ mil jaa.e
ik parinda isī ummīd pe āzād kiyā
haa.e vo shaḳhs jo kartā thā hamārī ḳhvāhish
raqs-e-tanhā.ī meñ aaj us ko bahut yaad kiyā
maslahat-kosh zamāne meñ bhī sach bol sake
ham ne is shahr meñ vo aa.ina ījād kiyā
merā vo ghar jo mirā ghar hī nahīñ thā 'rūhī'
maiñ ne is ghar ko ajab naaz se ābād kiyā
ki shikayat na koi shikwa-e-bedad kiya
kya kahe wo ki jise dost ne barbaad kiya
kya KHabar kis ki dua se wo hamein mil jae
ek parinda isi ummid pe aazad kiya
hae wo shaKHs jo karta tha hamari KHwahish
raqs-e-tanhai mein aaj us ko bahut yaad kiya
maslahat-kosh zamane mein bhi sach bol sake
hum ne is shahr mein wo aaina ijad kiya
mera wo ghar jo mera ghar hi nahin tha 'ruhi'
main ne is ghar ko ajab naz se aabaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.