Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kijiye mat himaqat ghazal ke liye

Manik Vishwakarma Navrang

kijiye mat himaqat ghazal ke liye

Manik Vishwakarma Navrang

MORE BYManik Vishwakarma Navrang

    kījiye mat himāqat ġhazal ke liye

    lete rahiye nasīhat ġhazal ke liye

    ranjishoñ se faqat baat bantī nahīñ

    hai zarūrī mohabbat ġhazal ke liye

    kījiye husn bārhā iltijā

    hai ḳhudā ye ne'mat ġhazal ke liye

    kuchh 'ibārat ishārat adā.eñ bhī hoñ

    varna hogī fazīhat ġhazal ke liye

    chand rusvā.iyāñ chand nākāmiyāñ

    haiñ hamārī vasiyyat ġhazal ke liye

    koī āvāz uThne na deñge kabhī

    jab talak haiñ salāmat ġhazal ke liye

    be-sabab anginat naam de kar use

    kījiye mat baġhāvat ġhazal ke liye

    'āshiqī safar 'umr bhar sukūñ

    chhoḌ deñge amānat ġhazal ke liye

    shauq se jo bhī kahnā hai kah Dāliye

    toḌiye mat rivāyat ġhazal ke liye

    ġhaltiyoñ vakālat na kariye kabhī

    hai isī meñ sharāfat ġhazal ke liye

    ḳhuuñ jigar bhī jaltā hai syāhī ke sang

    kījiye mat sharārat ġhazal ke liye

    kijiye mat himaqat ghazal ke liye

    lete rahiye nasihat ghazal ke liye

    ranjishon se faqat baat banti nahin

    hai zaruri mohabbat ghazal ke liye

    kijiye husn ki barha iltija

    hai KHuda ki ye ne'mat ghazal ke liye

    kuchh 'ibarat ishaarat adaen bhi hon

    warna hogi fazihat ghazal ke liye

    chand ruswaiyan chand nakaamiyan

    hain hamari wasiyyat ghazal ke liye

    koi aawaz uThne na denge kabhi

    jab talak hain salamat ghazal ke liye

    be-sabab anginat nam de kar use

    kijiye mat baghawat ghazal ke liye

    'ashiqi ka safar 'umr bhar ka sukun

    chhoD denge amanat ghazal ke liye

    shauq se jo bhi kahna hai kah Daliye

    toDiye mat riwayat ghazal ke liye

    ghaltiyon ki wakalat na kariye kabhi

    hai isi mein sharafat ghazal ke liye

    KHun jigar ka bhi jalta hai syahi ke sang

    kijiye mat shararat ghazal ke liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now